Saturday 19 November 2016

Real story that has to be listen

My experience with the Halted elevator okay to aaj jab main movie dekhne gayi ek mall mein Sorry but main mall ka name disclose nahi karungi ki kyunke bina wajah main nahi chahti ke kisi mall ki badnaami ho haan to main movie dekhne gayi our movie dekhne ke baad jab main wapis aane ke liye elevator mein gayi to elevator 5,10min tak chali nahi our wahan pe ek liftman bhi tha wo bhi hamari tarah hi hairaan tha kyunke usko bhi nahi maloom tha ke actual problem kya hai elevator meinour sab se important baat ke elevator mein hamare phone bhi nahi work kar rahe the kyunke wahan pe signal
nahi aaraha tha hum bade tense ho chuke the kyunke ke ek call tak bhi nahi kar sakte the or hairaani ki baat to hai thi ke elevator mein koi bhi emergency phone number ya koi our system installed nahi tha. hum jitna bhi chaahe apne aap ko cool down karne ki par phir bhi dil mein ek darr our panic situation to ho hi jaati hai yahan tak ke hum wahan thik se saans tak nahi le paa rahe the our mujhe pura yakeen hai agar hum thodi der our wahan rukte to shayad sach mein faint (behosh) bhi ho sakte the apko bata du ke hum do floors ke beecho beech stuck the shayad hum lucky the kyunke elevator ka darwaza humne kisi tarah se khola our usme se jump kar ke bahar nikal
aaye jab hum bahar nikle to hume pata chala ke wahan pe koi power failure nahi tha koi technical problem ki wajah se elevator ruk gayi thi main scared isliye bhi thi kyunke kuch saal pehle meri mom bhi aise hi ek elevator mein fass gayi thi agar unko sahi time pe bachaya nahi jata to shayad wo apne dono legs kho baith ti ye koi majaak nahi hai main apna experience share kar rahi hu aap sab ke saath taaki aap sab bhi savdhan rahe aisi situation mein na fase
agar aisi situation se bachna hai to kya karna chahiye
1. har thode dino baad elevator ki maintenance jaroor karwani chahiye
2. emergency phone number and network jaroor hona chahiye elevator mein
3. Liftman ko emergency se ladne ke liye trained hona chahiye taaki wo tumahari help kar sake
4. dont panic our door open karne ki try karte rahe our jaise hi door khule to jaldi se bahar nikal jana chahiye our agar by chance power failure nahi hai to shayad aap bahar nikalte waqt beech mein dabb bhi sakte hai isliye pura dhayan dene ke baad hi koi step le
5. aisa bhi ho sakta hai ke elevator ka repair work chal raha ho our unko maloom na ho ke elevator ke under log hai our wo log elevator start kar de jab aap bahar nikalne ki koshish kar rahe ho
6. ye mall ke owner ki jimmevaari hai ke elevator ki maintenace ko time to time karwata rahe Please share this to everyone taaki koi bhi aisi situation mein na fase our agar fase to usko maloom ho kya karna chahiye
Thanks for reading my article
Origanlly Posted by Sapna Vyas on facebook in english
thanks sapna vyas in advance for sharing your experience with all of us

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.